Whatsapp Share

Some amazing Urdu poetry

Urdu poetry...Ek hi baat par 7 alag shaayaron kaa nazariyaa.

MIRZA GHALIB
Sharab peene de aye dost,
masjid mein baith kar,

Yaa wo jagah bataa,
jahan khudaa na ho.
IQBAL
Masjid khudaa kaa ghar hai,
koi peene ki jagah nahi,

Kaafir ke dil me jaa,
waha khudaa nahi.
FARAAZ
Kaafir ke dil se aaya hun main dekh kar,
wahaan jagah nahi,

Khudaa maujood hai wahan bhi,
Magar usko pataa nahi.
WASI
Khudaa maujood hai puri duniya mein,
kahin bhi jagah nahi,
Tu jannat mein jaa,
wahan peena mana nahi.
SAQI
Peete hai gham e duniya bhulaa ne ke liye,
aur koi baat nahi,
Jannat main kahan gham hai,
waha peene kaa mazaa nahi.
MEER
Peete hai apne maze ke liye,
khaamkhaa badnaam gham hai,
Poori botal pee kar dekho,
phir duniyaa kya jannat se kam hai.

Click to comment
To Top